Kumaoni Recipes - 2 | Songs Of Kumaun | |||
(Contributed
By : Shikha Upreti )
RUS (Iron Soup)
Ras banane ke liye sabse pehle hum khadi sabut daale lenge jaise rajma,
gahat, bhatt, sabut urad, lobhiya & chana. in sabko hum raat ko
paani main bhiga denege. isme bhatt & gahat thoda zyada quantity
main hona chahiye.
Fir next day in sabko ek pressure cooker main 2 chutki namak
& haldi dal ke 4 whistles main cook kar lenge......fir ek
lohe (iron) ki kadhai leke usmain ye cooker wala material daal
denge..aur usmain thoda namak, haldi & dhaniya powder dalenge......fir
usko kadhai main khoob pakaenge taki vo dheere-dheere KALA hota jaye....ab
usmain se beej (yaani ki jo daalein thi) ko alag se nikaal denge.......fir
thoda sa chawal ka powder leke ras main daal denge jisse ki vo thoda
gada aur KALA ho jaye........kareeb 1/2 hrs. tak kadhai main usko
khoob pakayenge.........jab vo poori tarah se kala ho jayega to thoda
ghee lekar usmain hum jamboo & pyaaz (onion) ka tudka lagayenge (jamboo
is available in almora & nainital in bhotia market or lamas) aur
fir thoda sa garam masala powder bhi dalenge....fir usmain
hara-dhaniya bareek-bareek kaat ke dalenge aur garam-garam ras ko
bhaat (rice) ke saath khayenge....
ye pahad ki sabse fav. dish maani jaati hai aur 5 stars hotels
main ye iron-soup ke naam se milti hai jisko hum kumaun ke log ras
kehte hain. isko bhaat (rice) ke saath khaya jaata hai.
ab beej yaani ki jo daalein ras ko banane main use ki thi usko
bhi hum utilise kar sakte hain:
ek kadhai ya frying pan leke usmain thoda sa refined ya mustard oil
dalenge aur oil ko garam hone denge fir usmain bareek kata hua pyaaz
dalenge aur usko thoda golden brown hone denge......fir usmain ye
daalein dalke thoda sa namak, haldi & dhaniya powder, garam masala
powder & kali mirch powder dalenge aur thodi der tak usko fry
karenge.......jab vo acchi tarah se fry ho jaye tab usmain bareek kata
hua dhaniya dalenge.........aur garam - garam serve karenge.
Comments (By : Kamal Karnatak)
Ras is also called "Thathwanee"
in pahadee. The "Chawal ka ata" mentioned by Shikha Upreti
is also called "Biswar" . This is the same biswar
which is used for making Aipan (Alpana).Yadee Chwal ka aata na miley
to normal aatey ko halkey ghee main fry karkey bhi dala ja sakta
hai.Rus key swad key liye ismey laung dala jata hai . Laung dalney
sey iska swad bad jata hai.Laung sabut ya fir halka bhoon key fir
barik pees key bhi dala ja sakta hai. Han iskey beej main oopar sey
thoda neebu nichoda ja sakta hai..swad badaney key liye.
|
|