Kumaoni Recipes - 6
Songs Of Kumaun

Kumauni Festivals

Ramleela Of Kumaon

(Contributed By : Janki Sunal )

Kumaoni Raita

Kumaon main raita mostly kakdee sey banaya jata hai.Iskee khas baat hotee hai iska teekha (pungent) taste ..

Ingredients :

kakdee, Dahee,Haldee,  sarson ya rai key daney,Haree mirch,hara dhaniya , namak

Method :

pahley kakdee ko chheel kar kadookash main kas lo ..Iska poora panee nichod lo.

Dahee ko lekar thoda feto..fir usmey haldee aur , kasi hui kakdee dal do..Sarson key dano ko bareek pees kar uska paste bana lo..is paste ko raitey main mila do..fir haree mirch ,namak , dahaniya mila do..isko 3-4 ghantey key liye rakh do ..taki sarson ka swad aa jay..isko jitna jyada der tak rakha jayega utna teekha taste hoga...aur isko garam garam pakodee key sath khao..

 Saii  :

This special dish is mainly related to "Bhitoli" (A tradition of sending some thing like cloths etc to sisters) .It is an integral part of bhitoli.I think U know all about Bhitoli.

Ingredients : Soojee,Dahi,Ghee,Cheenee 

Method :

 pahley soojee main thoda moyan dekar dahee main aatey ki tarah goonth lo. kadahee main ghee garam kar is gunthey hue aatey ko thoda thoda kar kadahee main daltey raho. Aur isko chaltey raho...Dheerey dheerey iska rang gulabee ho jayega ... Dhyan rahey aanch thodee kam rahey..nahee to ye jal sakta hai... teyar honey par tukdey alag alag najar aaney lagengey... aab ismey cheenee dalkar band kar do... aab khud bhi khao aur doosron ko bhi khilao..

BACK


 

Cuisines Of Kumaun

Kumauni Eatables

Sngle , Pua , Bada .Khajoorey

Rus

Chudkani , Kapa

Gahut Ka Fana

Sana Hua Neebu

Shai aur Raita